yaar kya mast cute chulbul sa bachha tha...π₯° aaj mai bus me travelling kar rha tha to ek chhota sa bachha bus me idhar udhar running kar rha tha baar baar gir rha phir uth kar khelne lag rha tha aur sabse achhi baat uske parents usko rok tok bhi nhi kar rhe the phir mere pass aata hai mere saath khelne lagta hai mere pass aa kar aaram se mere seat pe baith gya uski mummy dekh rhi kidhar gya pichhe muri to vo mere pass aaram se baitha hua khel rha tha ...π aur mera bad luck ki uss samay mera phone switch off ho gya uske pics bhi nhi le paaya but uski mummy bhi kaffi achhi thi hΓ m dono ka snap le rhi thi....π bus me mai akele bore ho rha tha usne mood fresh kar diya mera... π₯°π
jab kisi se baat karna chaho to koi available nhi hoga aur jab busy raho to sabke calls & messages aane lagte hai...π
Inte saalo se ghar se bahar rah rha hu par aaj bhi Ghar se bahar nikalte samay thoda emotional ho jaata hu...
For Boys, everything is going to decide our career, aapki wife kaun hogi nhi hogi kyuki aap jisse pyaar kar rhe hai uske papa ko aapki job pasand aayegi yaa nhi , aapki kaun kitni ijjat karega, samaaj me hamari kya jagah hogi, hamare friends kaun rahenge, everything will decide your post , your job. kabhi kabhi lagta hai job paana hi hamara jivan hai kal ko hamare pass achhe job nhi hai achhe rupaye nhi hai to hamare ghar wale bhi hame nhi puchhne wale aur naa hi ham apne family ke liye kuchh kar payenge. sometimes i get distracted too but phir sochta hu agar achhi job nhi hui phir zindagi ki aisi taisi ho jayegi....
..............................................................................................
Ye hariyali, ye surya ki roshni, ye pakshiyo ki chahchahahat ye halki halki thandi hawaye....Ghar par aakar ek alag hi feeling aati yaar....π
Expressing my thoughts & trying to understand you lovely people. Interested in everything whatever you wanna share specially Poem, Shayari, books, music & society.
199 posts